wo pyas thi ki chalne ka yara bhi nahin tha dariya to nazar aata tha dariya bhi nahin tha dekha hi nahin us ne mera dar pe chadhna dilchasp kuchh aisa wo tamasha bhi nahin tha kya baat hai ki qafila manzil pe na pahuncha rahbar ka ya rahzan ka to khatra bhi nahin tha itna bhi na ho dasht mein tanhai ka aalam wan raqs-kunan koi bagula bhi nahin tha raste mein mujhe rok ke kyon khairiyat puchhi pahle to kabhi dekh ke bola bhi nahin tha pindar tha is ka mujhe thokar jo lagai rasta tha sahih aankh se andha bhi nahin tha ehsas-e-khudi jaane mein mane raha 'shahid' us ne to mujhe bazm mein toka bhi nahin tha