wo sang ho ki shajar karb-e-intizar mein hai

wo sang ho ki shajar karb-e-intizar mein hai
kise ye ilm hai kya parda-e-ghubar mein hai

kashan kashan liye jati hai tum ko jis ki kashish
wo saya saya sada bahr-e-be-kanar mein hai

karaunga teri jaan-bakhshi nazr-e-jaan kar ke
mujhe bata to sahi kis ke ikhtiyar mein hai

kahan ka qasd karun kuchh pata to ho malum
suna hai itna kisi ajnabi dayar mein hai

sukut-za hi nahin hai sukhan-taraaz bhi hai
zarur shoala koi sang-e-rahguzar mein hai

ye hai ki sher ka asrar-ashna hai wo
wagarna rakkha kya us mein hai kis shumar mein hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close