wo sanglakh zaminon mein sher kahta tha ajib shakhs tha khilta gulab jaisa tha sulagte jism pe mere gulon ka saya tha tere wajud ka wo lams kitna mahka tha jo aashna the bahut ajnabi se lagte the wo ajnabi tha magar aashna sa lagta tha parind sham dhale ghonslon ki samt chale charagh jalte hi us ko bhi laut aana tha usi darakht ko mausam ne be-libas kiya main jis ke sae mein thak kar udas baitha tha hamare gird wahi aahani salakhen hain siyah raat ka katna to ek dhoka tha charagh donon kinaron ke bujh gae 'saghar' hamari rah mein hael lahar ka dariya tha