wo shab kis tirgi mein kho gai hai palat kar phir na aai jo gai hai abhi aati hun kah kar wo gai hai bahana hi bana kar to gai hai mohabbat soch kar main ne nahin ki mohabbat aadatan phir ho gai hai jo kahti hai ki khush hai dur rah kar wo mera nam sun kar ro gai hai teri khushbu ka khat mein zikr padh kar diwani ek titli ho gai hai shikasta-haal ruswa gham-shanasa firaq-e-yar ki shab so gai hai khuda-hafiz ho us ka jo mohabbat fana hone ki khatir ho gai hai