wo shajar kya jo pur-samar na hua dil wo kya jis mein tera ghar na hua bebasi bhi ajib aalam hai hausla koi barwar na hua dasht-e-wahshat mein ek bhi na mila rasta jo ki pur-khatar na hua fasl-e-gul aai bhi to kab aai jabki bazu mein koi par na hua pesh rahta hai ab tasawwur-e-yar dard-e-dil de ke be-khabar na hua milna kaisa ki yaad bhi na kiya mere nalon ka kuchh asar na hua dosh taqdir ka hi phir nikla khat jo likkha to nama-bar na hua ye bhi achchha hua ki tu aa kar meri mayyat pe nauhagar na hua apni qismat ko aazma leta kya kahun us ka sang-e-dar na hua sozish-e-gham se ab kahan aansu un ka daman bhi aaj tar na hua rasm-e-ulfat bhi ek gahra raaz koi bhi is se ba-khabar na hua zulm kab tak bhala sahe un ke ek patthar hua jigar na hua aisi likkhi ghazal ki yaron se lafz koi idhar udhar na hua mar-mite jis ke ishq mein 'sayyaf' wo hi afsos ba-khabar na hua