wo sham dhale tera milna wo tera hansana yaad nahin jo teri rifaqat mein guzra hum ko wo zamana yaad nahin manzil hai kahan kuchh yaad nahin kis samt hai jaana yaad nahin ab tera pata hum kya puchhen khud apna thikana yaad nahin kya tujh se bahana koi karen ab koi bahana yaad nahin hum aa to gae mahfil mein teri par der se aana yaad nahin ai ahl-e-zamana zid na karo wo daur purana yaad nahin ab un ki kahani kya kahiye khud apna fasana yaad nahin wo chandni-shab phulon ki mahak wo thandi hawaon ke jhonke tu itni jaldi bhul gaya mausam wo suhana yaad nahin wo raat wo barish tufani us raat ka manzar yaad to kar wo ek duje ko mithi dish kya tum ko khilana yaad nahin ilzam-tarashi to 'saghar' duniya ka purana shewa hai yusuf pe zamane ka tujh ko kya ungli uthana yaad nahin