wo so raha hai khuda dur aasmanon mein farishte loriyan gate hain us ke kanon mein zamin pe girte hain kat kat ke sar farishton ke ajib zalzala aaya hai aasmanon mein sadak pe aa gae sab log bilbilate hue na jaane kaun makin aa gae makanon mein phate purane badan se kise kharid sakun saje hain kanch ke paikar badi dukanon mein wahin pighal ke na rah jae mera sang-e-sada ki zard zahr ka parda hai is ke kanon mein nikal ke zard charaghon se zahr ka aaseb pahunch gaya hai mere ghar meri dukanon mein