wo taqaza-e-junun ab ke bahaaron mein na tha ek daman bhi to uljha hua kharon mein na tha ashk-e-gham tham gae yaad aate hi un ki surat jab chadha chand to phir nur sitaron mein na tha marne jine ko na samjhe to khata kis ki hai kaun sa hukm hai jo un ke ishaaron mein na tha har qadam khak se daman ko bachaya tum ne phir ye shikwa hai ki main rah-guzaron mein na tha tum sa lakhon mein na tha jaan-e-tamanna lekin hum sa mahrum-e-tamanna bhi hazaron mein na tha 'hosh' karte na agar zabt-e-fughan kya karte pursish-e-gham ka saliqa bhi to yaron mein na tha