wo un dinon to hamara tha lekin ab kya hai phir us se aaj wahi ranj-e-be-sabab kya hai tum us ka war bachane ki fikr mein kyun ho wo jaanta hai masihaiyon ka dhab kya hai dabiz kohar hai ya narm dhup ki chadar khabar nahin tere baad ai ghubar-e-shab kya hai dikha raha hai kise waqt an-ginat manzar agar main kuchh bhi nahin hun to phir ye sab kya hai ab is qadar bhi sukun mat dikha bichhadte hue wo phir tujhe na kabhi mil sake ajab kya hai main apne chehre se kis tarah ye naqab uthaun samajh bhi ja ki pas-e-parda-e-tarab kya hai yahan nahin hai ye dastur-e-guftugu 'irfan' fughan sune na koi harf-e-zer-e-lab kya hai