wo wasl ki lazzat mein gum hai wo soz-e-judai kya jaane wo rog paraya kya samjhe wo prit parai kya jaane parwana-e-husn ka shaidai papi bhanwra ras ka lobhi chahat ko saudai samjhe us ko harjai kya jaane mahfil mein jise malum nahin ehsas ki karwat kya shai hai wo dil ki suni wadi mein gham ki angdai kya jaane ye khak-alud jawan chehre gul jin ki qasmen khate hain jo aaraish par marta ho un ki ranai kya jaane 'arif' apna raaz-e-ulfat yun hai jaise munh-band kali ye bhed zamana kya samjhe ye raaz khudai kya jaane