wo yar hum se khafa hai to ho hua so hua phir us ka qissa hi kya jaane do hua so hua agar raqib shararat se baz nahin aata bala se apni kuen mein pado hua so hua har ek baat mein tum kyun ulajhte ho yaro dekho ye muft gadhe mat chadho hua so hua ye sara qaziya to hum se hai is se tum ko kya tum apne ek taraf ho ro hua so hua hum apna aap hi kar lenge infial us se hamare bich koi mat pado hua so hua ye sab ladane ki baaten hain tum jo karte ho zara to khair ka kalima kaho hua so hua hamin to yar siwa apne tain kare kaam bura kisi ko lage to lago hua so hua ranga hai ab to zamane ne rang ye lal zard dikhai karo hua so hua giran hun se teri 'nayan' pesh nahin jati to pher ba-huda kyun bakte ho hua so hua