wusat-e-do-jahan mein tanha hun

wusat-e-do-jahan mein tanha hun
khak par suraten banata hun

bazm mein su-e-ittifaq ki main
us ke jaane ke baad aata hun

pyas hai meri zindagi ka pata
main bhi ai rahguzar roya hun

aur kuchh pal mujhe gawara kar
dubti sham ka tamasha hun

mere suraj tujhe khabar bhi nahin
main teri aas mein hi zinda hun

ek daftar hai meri khamoshi
jaane kya kya sunane aaya hun

mere imkan mein hai us ka yaqin
jis ke hone ka istiara hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close