ya-ali kah kar but-e-pindar toDa chahiye

ya-ali kah kar but-e-pindar toda chahiye
nafs-e-ammara ki gardan ko maroda chahiye

tang aa kar jism ko ai ruh chhoda chahiye
tifl-tabaon ke liye mitti ka ghoda chahiye

zulf ke saude mein apne sar ko phoda chahiye
jab bala ka samna ho munh na moda chahiye

ghurti hai tum ko nargis aankh phoda chahiye
gul bahut hanste hain kan un ke maroda chahiye

aaj-kal hota hai apna ishq-e-pinhan aashkar
pak chuka hai khub ab phute ye phoda chahiye

mangta hun main khuda se apne dil se dagh-e-ishq
baadshah-e-husn ke sikke ka toda chahiye

un labon ke ishq ne hai jaise diwana kiya
bad apni hai ek lalon ka joda chahiye

de raha hai gesu-e-mushkin saude ko jagah
kis ke aage ja ke apne sar ko phoda chahiye

baada-e-gul-gun ke shishe ka hun sail saqiya
sath kaifiyyat ke udta mujh ko ghoda chahiye

ye sada aati hai raftar-e-samand-e-umr se
wo bhi ghoda hai koi jis ko ki koda chahiye

qata miqraaz-e-khamoshi se zaban ko kijiye
qufl de kar ganj par miftah toda chahiye

apne diwane ka dil le kar ye kahta hai wo tifl
ye khilauna hai isi qabil ki toda chahiye

zulfen ru-e-yar par be-wajh lahraati nahin
kuchh na kuchh zahr agle ye kale ka joda chahiye

baghban se chhup ke gul-chini jo ki to kya kiya
aankh bulbul ki bacha kar phul toda chahiye

fasl-e-gul mein bediyan kati hain mere panw ki
hath mein haddad ke sone ka toda chahiye

bagh-e-alam mein yahi meri dua hai roz-o-shab
khar khar ishq-e-gul-e-rukhsar toda chahiye

ishq ki mushkil-pasandi se hua ye aashkar
khubsurat ko ghurur-e-husn thoda chahiye

zamzame sun kar mere sayyaad-e-gul-ru ne kaha
zabh kije aise bulbul ko na chhoda chahiye

pir ho 'atish' kafan ka samna hai an-qarib
tauba kije daman-e-tar ko nichoda chahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close