yaad aati hain hamein jaan tumhaari baaten hae wo pyar ki aawaz wo pyari baaten pahron chup rahte hain hum aur agar bolte hain wahi phir phir ke ulatti hain tumhaari baaten ghair har dam mujhe baaten jo suna jate hain jaanta hun ye main ai jaan tumhaari baaten yaad aata hai tera kya ke ewaz ka kahna hae phir kab main sununga wo ganwari baaten hai buri baat ye aghyar se baaten karni warna ai jaan teri achchhi hain sari baaten is tarah bol nikalte na sune the hum ne karti hai saf sanam teri sitari baaten tu wo ejaz-e-bayan hai ki masiha samjhen sun len ai jaan kisi din jo juari baaten is liye ashk bahata hun dam-e-fikr-e-sukhan ki hamesha rahen duniya mein ye jari baaten tu wo gul hai ki agar kan dhare gulshan mein ho zaban mauj kare baad-e-bahaari baaten kijiye sehr-bayani se musakhkhar kyun-kar kabhi sunta nahin 'nasikh' wo hamari baaten