yaaden tumhaari phenk dun kaise nikal kar

yaaden tumhaari phenk dun kaise nikal kar
dil ke qafas mein rakkhi hain muddat se pal kar

main thik hun to man dalilen sabhi meri
main hun ghalat agar to aa mujh se sawal kar

sah leti hun main teri sabhi bad-tamiziyan
jo waqt sath guzra hai us ka khayal kar

kya khub pyar ka sila tu ne diya mujhe
barson ke intizar ko lamhe mein tal kar

shamil nahin hun aisi jamaat mein aaj bhi
hamdardi chahiye jinhen jazba uchhaal kar

yunhi to pur-asar nahin ashaar ho gae
likkha hai lafz-e-dard mein thoda ubaal kar

hona tha jo bhi ho chuka achchha hai ya bura
kya faeda hai ab na 'tabassum' malal kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close