yaadon ke nasheman ko jalaya to nahin hai hum ne tujhe is dil se bhulaya to nahin hai kaunain ki wusat bhi simat jati hai jis mein ai dil kahin tujh mein wo samaya to nahin hai har shai se wo zahir hai ye ehsan hai us ka khud ko meri nazron se chhupaya to nahin hai zulfon ki syahi mein ajab husn-e-nihan hai ye raat usi husn ka saya to nahin hai waqif hain tere dard se ai naghma-e-ulfat hum ne tujhe har saz pe gaya to nahin hai us ne jo likha tha kabhi sahil ki jabin par us nam ko maujon ne mitaya to nahin hai wo shahar ki is bhid mein aata nahin 'afzal' phir bhi chalo dekhen kahin aaya to nahin hai