yaadon ke saeban mein basar kar rahi hai raat khake mein zindagi ke dhanak bhar rahi hai raat mujh se hai ham-kalam ya tujh se hai us ki baat viran raston ka safar kar rahi hai raat muddat se jal rahe hain yahan aas ke diye bujhte charagh ko bhi qamar kar rahi hai raat un ki mahak hai aaj mere dil se dur kyun phulon se jholiyon ko agar bhar rahi hai raat dil ko kiya malul aur viran aankh ko kuchh yun bhi jism-o-jaan mein qadam dhar rahi hai raat rakh kar rida-e-ishq mein kuchh phul aur khwab 'shahin' aaj meri tarah mar rahi hai raat