yaadon ki diwar giraata rahta hun main pani se aankh bachata rahta hun sahil pe kuchh der akele hota hun phir dariya se hath milata rahta hun yaadon ki barsat to hoti rahti hai main aankhon se khwab giraata rahta hun 'sahir' ki har nazm suna kar majnun ko main sahra ka dard badhata rahta hun duniya wale mujh ko pagal kahte hain main suraj se aankh milata rahta hun patthar-watthar mujh se nafrat karte hain main andhon ko rah dikhata rahta hun mere pichhe qais ki aankhen pad gai hain dariya dariya pyas bujhata rahta hun mujh ko dasht-e-sukut sadaen deta hai sahra sahra khak udata rahta hun mujh ko mere nam se jaana jata hai main 'rizwi' ka dhong rachata rahta hun