yaadon ki tajsim pe mehnat hoti hai bekari bharpur mashaqqat hoti hai aisa khali aur itna gunjaan aabaad aaine ko dekh ke hairat hoti hai diwaron ka apna sahra hota hai aur kamron ki apni wahshat hoti hai us ko yaad karo shiddat se yaad karo is se tanhai mein barkat hoti hai bachpan jauban aur budhapa aur phir maut sab chalte rahne ki aadat hoti hai jina to bas lafz hai ek be-mani lafz maut se pahle maut ki fursat hoti hai aisi aazadi ab aur kahan hogi ishq mein sab karne ki ijazat hoti hai aansu moti jugnu tara suraj chand har qatre ki apni qismat hoti hai