yagangi mein bhi dukh ghairiyat ke sahta hun chaman mein sabza-e-begana ban ke rahta hun teri nigah-e-mohabbat ka aasra pa kar fasana-e-sitam-e-rozgar kahta hun azim dhaaron ka rukh pherne ka azm liye haqir maujon pe tinke ki tarah bahta hun hai apne zarf ka maqsud imtihan shayad tere qarib pahunch kar bhi dur rahta hun khud apne se bhi chhupaya hai muddaton jis ko qarib aao ki tum se wo baat kahta hun tumhaare bas mein nahin mere zakhm ka marham main zindagi ke haqaeq ki chot sahta hun faraaz-e-dar bhi 'hurmat' hai ek manzil auj koi maqam ho main sar-buland rahta hun