yahan aawaz ko apni uthana bhi chunauti hai sahih kahne ki himmat ko jutana bhi chunauti hai nahin malum kya jadu hai us kafir ki baaton se ki ab logon ko sachchai dikhana bhi chunauti hai kabhi ninden kabhi sapne pakae aanch par main ne ki daur-e-muflisi mein ghar chalana bhi chunauti hai kabhi khanjar hi koi ghonp dega pith mein mere isi dar se gale sab ko lagana bhi chunauti hai khade hain mere apne hi meri manzil ke raste mein ki aise haal mein manzil ko pana bhi chunauti hai jo har ek bahas ko mazhab ke mimbar par le aate hain dilon se un ke nafrat ko hatana bhi chunauti hai zaban par pad gae sachchai se jo aable mere to ab aawaz logon ko lagana bhi chunauti hai