yahan ke log hain bas apne hi khayal mein gum koi uruj mein gum hai koi zawal mein gum nisab-e-ishq mein hijr-o-visal ek se hain hai mere hijr ka rishta tere visal mein gum ye ek nazara alag hai sabhi nazaron se meri nazar ka tasalsul tere jamal mein gum ye nazuki mere sheron ki be-sabab to nahin ki meri fikr-e-sukhan hai isi ghazal mein gum tumhein ho kaise khabar khud mujhe nahin malum main kis jawab mein gum hun main kis sawal mein gum bacha hai kaun yahan waqt ke thapedon se hai meri umr-e-gurezan bhi mah-o-sal mein gum ye shahr-e-khud-nigaran hai nikal chalo 'tariq' har ek shakhs hai apne hi khadd-o-khal mein gum