yahan tak kaam aaya jazba-e-zabt-e-fughan apna khade dekha kiye jalte hue hum aashiyan apna haqiqat mein wahi hai hasil-e-umr-e-rawan apna jise sab maut kahte hain wo hai khwab-e-giran apna bahut kuchh ho chuka tai jada-e-umr-e-rawan apna pahunch jaega manzil par kisi din karwan apna jahan mein maut ne ulti naqab-e-zindagi jis dam yaqin se khud badalna hi pada aakhir guman apna yahin kisht-e-tamanna hai yahin hai mazra-e-uqba isi do din ki duniya mein hai sara imtihan apna nahin jab koi dhabba daman-e-aslaf pe apne to phir achchhe se achchha kyun na hoga dud-man apna nishan-e-qabr bhi dhundhe se ab milta nahin 'shoala' mita hai safha-e-hasti se yun nam-o-nishan apna