yahan to har ghadi koh-e-nida ki zad mein rahte hain tajawz ke bhi mausam mein hum apni had mein rahte hain bahut mohtat ho kar sans lena mo'tabar ho tum hamara kya hai hum to khud hi apni rad mein rahte hain sarab o aab ki ye kashmakash bhi khatm hi samjho chalo mauj-e-sada ban kar kisi gumbad mein rahte hain saron ke bojh ko shanon pe rakhna mojaza bhi hai har ek pal warna hum bhi halqa-e-sarmad mein rahte hain