yahi aksar auqat hum dekhte hain

yahi aksar auqat hum dekhte hain
hamari taraf aap kam dekhte hain

teri zulf ke pech-o-kham dekhte hain
ki dar hae dair-o-haram dekhte hain

khuda ki qasam kya nahin dekhte hum
tumhein jab khuda ki qasam dekhte hain

dikhati hai kya kya karishme mohabbat
ye aab-e-baqa hai ki sam dekhte hain

sitam bar sitam zindagi ke muhafiz
sitamgar ko waqf-e-sitam dekhte hain

agar hum bahut kam-nazar hain to kya hai
kuchh ahl-e-nazar bhi to kam dekhte hain

hamare khuda hain magar aap kab tak
rahenge sanam ke sanam dekhte hain

khudara na puchho na puchho khudara
jo hum dekhte the jo hum dekhte hain

nazar aae aae na aae na aae
nawishte mein kya hai raqam dekhte hain

kisi ke mahasin kisi ke maaib
ye tum dekhte ho wo hum dekhte hain

kai dekhne wale aise bhi hain jo
khushi dekhte hain na gham dekhte hain

kab aaega din jab gharibon ki jaanib
uthenge tumhaare qadam dekhte hain

main un mutribon ki taraf dekhta hun
jo sur dekhte hain na sam dekhte hain

nahin dekhte aankh utha kar ghalat hai
nahin waiz-e-mohtaram dekhte hain

jinhen naz hai quwwat-e-basira par
wahi log 'sarshaar' kam dekhte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close