yahi arman yahi shauq hai diwane ka rang phika na pade ishq ke afsane ka baada-khwaron ko tere hosh abhi baqi hai daur chalta rahe saqi yunhi paimane ka bahr-e-ulfat se hua par safina mera qasd jab kar liya tufan se takrane ka bijliyan gham ki girin khirman-e-dil par mere silsila khatm hua aap se yarane ka manzar-e-baada-kashi yun to bahut dekha hai rang kuchh aur hai saqi tere maikhane ka meri ulfat ka yaqin un ko na aae lekin shikwa hargiz na karunga kabhi jhutlane ka ek sajde mein mohabbat ke jabin par apni khinch laya hun main naqsha tere kashane ka us ke raste mein raqibon ne bichhae kante wada us but ne kiya jab bhi kabhi aane ka qais-o-farhad ke qisse bhi sune hain lekin dhang kuchh aur hai 'ahmar' tere afsane ka