yahi ek mukhtasar si dastan sab ko sunani hai har ek mausam mein khush rahna yahi to zindagani hai mere dil par hui dastak na jaane kaun aaya hai faza ki aahaton mein aaj khushbu zafrani hai tumhein jab mujh se milna ho to apne aap se mil lo tumhaare dil mein rahta hun tumhaari baat mani hai kahin baalu kahin patthar kahin katte kinare hain koi kuchh bhi nahin kahta ye dariya ki rawani hai dikhata hai jo sab ko rasta duniya mein socho to ye us ka hi ishaara hai usi ki mehrbani hai chhupaun kis tarah khud ko main in naqli naqabon mein haqiqat samne ek roz yaro aa hi jaani hai