yahi hota hai akasr zindagi mein

yahi hota hai akasr zindagi mein
ki thoda gham bhi shamil ho khushi mein

udas aankhon mein palkon ki nami mein
jhalakti thi wafa bhi be-rukhi mein

wahan dushwar tha khud se bhi milna
talash-e-yar kya ho be-khudi mein

gile-shikwe to hote hi rahenge
chalo kuchh der baithen chandni mein

andheron se shikayat ho to kya ho
dikhai kuchh na de jab raushni mein

na koi aarzu dil mein shifa ki
na hasil hai shifa chaaragari mein

misal 'arjun' ki rakhna yaad har dam
bahut aage badhoge zindagi mein

ghanimat hai ki ab bhi dekhte hain
hum apne-ap ko is ajnabi mein

'khayal' itne na the kam-zarf pahle
badi gahrai thi tishna-labi mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close