yahi kahti laili-e-soKHta-jaan nahin khati adab se KHuda ki qasam

yahi kahti laili-e-sokhta-jaan nahin khati adab se khuda ki qasam
gham-e-qais siwa mujhe gham nahin kuchh usi kushta-e-naz-o-ada ki qasam

kabhi kahta tha qais ghazalon se ja kaho naqa yan se kidhar ko gaya
kabhi kahta tha tu hi batae saba tujhe laila ki zulf-e-dota ki qasam

tere kushta-e-gham ka hai haal batar yahi kahiyo jo jaana ho tera udhar
tujhe qasid-e-mauj-e-nasim-e-sahar meri hijr ki shab ki buka ki qasam

aai 'hawas' mujhe phulon ki bu kabhi baitha na ja ke main bar-lab-e-ju
meri tangi-e-dil to gai na kabhu mujhe bagh-e-jahan ke faza ki qasam


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close