yahi nahin ki zakhm-e-jaan ko chaara-ju mila nahin ye haal tha ki dil ko ism-e-arzu mila nahin abhi talak jo khwab the charagh the gulab the wo rahguzar koi na thi ki jis pe tu mila nahin tamam umr ki masafaton ke baad hi khula kabhi kabhi wo pas tha jo chaar su mila nahin wo jaise ek khayal tha jo zindagi pe chha gaya rifaqaten thin aur yun ki ru-ba-ru mila nahin tamam aainon mein aks the meri nigah ke bhare nagar mein ek bhi mujhe adu mila nahin wirasaton ke hath mein jo ek kitab thi mili kitab mein jo harf hai sitara-khu mila nahin wo kaisi aas thi ada jo ku-ba-ku liye phiri wo kuchh to tha jo dil ko aaj tak kabhu mila nahin