yak raat main gaya tha rindan ke anjuman mein bole ki ai hawai yu nukta ruk tu man mein wahdat ke mulk miyane nin ghair ko thakana ain-e-khuda samajh tu jo hai is anjuman mein kya saqi-o-mughanni kya jam kya surahi ghair-e-khuda nako kah gar hai sharab dan mein kya lala kya yu sausan kya nargis-o-saman kya hai ucha fil-haqiqat gul hai agar chaman mein u nukta kar yaqin main har chiz ko jo dekhya begana kin disya nin bin dost chaukdan mein bin zat haq disya nin yak zat do jahan mein bin ism haq sunya nin yak bol yak dahan mein ghaflat kun nen hai jaga kan sun achhegi ghaflat zakir tamam aalim hai marifat ke fan mein hai ishq u khuda ka gar ishq hai jawan mein hai husn u usi ka gar husn hai mahan mein ai mahram-e-khudai yak zarra ghaur kar dek nukte bhare hain ne ke 'qurbi' ke har sukhan mein