yaksu kushada-rawi par chin nahin jabin bhi hum chhodi mahr us ki kash us ko howe kin bhi aansu to tere daman ponchhe hai waqt girya hum ne na rakhi munh par ai abr-e-astin bhi karta nahin abas to para gulo-fughan se guzre hai par dil ke ek nala-e-hazin bhi hun ehtizar mein main aaina-ru shitab aa jata hai warna ghafil phir dam to wapsin bhi sine se tir us ka ji ko to leta nikla par sathon sath us ke nikli ek aafrin bhi har shab teri gali mein aalam ki jaan ja hai aage hawa hai ab tak aisa sitam kahin bhi shokhi-e-jalwa us ki taskin kyunke bakhshe aainon mein dilon ke jo hai bhi phir nahin bhi gesu hi kuchh nahin hai sumbul ki aafat us ka hain barq khirman-e-gul rukhsar-e-atishin bhi taklif-e-nala mat kar ai dard dil ki honge ranjida rah chalte aazurda ham-nashin bhi kis kis ka dagh dekhen yarab gham-e-butan mein rukhsat talab hai jaan bhi iman aur din bhi zer-e-falak jahan tak aasuda 'mir' hote aisa nazar na aaya ek qata-e-zamin bhi