yakta-e-rozgar hamara makan tha niche zamin thi sar pe khula aasman tha ab shakh-e-ashiyan hai na tinke nasib hain aaega aisa waqt bhi kis ko guman tha aaya jo inqalab to sab kuchh badal gaya pahle yahi zamin thi yahi aasman tha tanhaiyon ne farz-e-ziyafat ada kiya kal raat apne ghar hi mein main mehman tha aaj un pe multafit hai yahi inqalab hai hum par bhi ye zamana kabhi mehrban tha us ko saza de hum ko bari kis tarah kare munsif ka imtihan hamara bayan tha 'kausar' khuda se koi shikayat na kijiye ye sochiye ki pahle wo kyon mehrban tha