yan hum ko jis ne mara malum ho rahega

yan hum ko jis ne mara malum ho rahega
mahshar mein khun hamara malum ho rahega

go phul phul kar ab to dekhti hai bulbul
gulshan ka par nazara malum ho rahega

jab bahr-e-gham mein duba de chhod dast-o-pa ko
aakhir tujhe kinara malum ho rahega

ai sabr dam-ba-dam ab dard-o-alam fuzun hai
jitna hai dil ka yara malum ho rahega

ai aaftab-e-mahshar kholun hun dagh dil ka
chamka agar ye tara malum ho rahega

sad-sher aashiqon ka hone laga wafur ab
sab hausla tumhaara malum ho rahega

naqsh-e-qadam se aakhir teri gali mein pyare
jis ka hua guzara malum ho rahega

afsos raaz dil ka jasus sun gae hain
qissa ab us ko sara malum ho rahega

poshida go hai tujh par ahwal mere dil ka
hai ye to aashkara malum ho rahega

na-chaar ku-ba-ku ab tahqiq karne phiriye
kuchh dard-e-dil ka chaara malum ho rahega

pinhan hai ab to lekin marne ke baad 'jurat'
dard-e-darun hamara malum ho rahega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close