yaqin hai ki guman hai mujhe nahin malum

yaqin hai ki guman hai mujhe nahin malum
ye aag hai ki dhuan hai mujhe nahin malum

ye har taraf hai koi mahfil-e-tarab barpa
ki bazm-e-gham-e-zadagan hai mujhe nahin malum

liye to phirta hun ek mausam-e-wajud ko main
bahaar hai ki khizan hai mujhe nahin malum

wo rang-e-gul to usi khak mein ghula tha kahin
magar mahak wo kahan hai mujhe nahin malum

khabar to hai ki yahin qarya-e-malal bhi hai
ye kaun mahw-e-fughan hai mujhe nahin malum

main tujh se dur usi dasht-e-na-rasi mein hun gum
idhar tu nauha-kunan hai mujhe nahin malum

ye dagh-e-ishq jo mitta bhi hai chamakta bhi hai
ye zakhm hai ki nishan hai mujhe nahin malum

guzarta jata hun ek arsa-e-gurez se main
ye la-makan ki makan hai mujhe nahin malum

rawan-dawan to hai ye ju-e-zindagi har dam
magar kidhar ko rawan hai mujhe nahin malum

ye kashmakash jo man-o-tu ke darmiyan hai so hai
miyan-e-sud-o-ziyan hai mujhe nahin malum

ye ku-e-khak hai ya phir dayar-e-khwab koi
zamin hai ki zaman hai mujhe nahin malum

yahin kahin pe wo khush-ru tha aaj se pahle
magar wo aaj kahan hai mujhe nahin malum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close