yaqin jaaniye is mein koi karamat hai jo is dhuen mein meri sans bhi salamat hai nazar bhi haal mere dil ka kah nahin pati zaban ki tarah meri aankh mein bhi luknat hai jo ho raha hai use dekhte raho chup chap yahi sukun se jine ki ek surat hai main us ke jhut ko bhi sach samajh ke sunta hun ki us ke jhut mein bhi zindagi ki quwwat hai ye kis ki aankh tiki hai udas manzar par ye kaun hai ki jise dekhne ki fursat hai koi baid nahin ye bhi ishtihaar chhape hamare shahr mein jallad ki zarurat hai sipar tamam badan ke hawas dal chuke bas ek aankh hai jis mein abhi baghawat hai dil-o-dimagh mein rishta nahin jahan koi ek aise jism mein jina hamari qismat hai kahin bhi jaen sazaen hamein hi milni hain adalaton ki hamari ajib hikmat hai hamare bich ye uqda na khul saka ab tak kise visal kise hijr ki zarurat hai usi ko saunp diya hum ne munsifi ki zamam ki jis ke khwab mein bhi aks-e-ghasbiyyat hai