yaqin ki saltanat thi aur sultani hamari damakti thi dua ki lau se peshani hamari mahakta tha ghane pedon se virana hamara jahan-e-ab-o-gil par thi nigahbani hamari hamare jism ke tukde hue raunde gae hum magar zinda rahi aankhon mein hairani hamari hum is khatir teri taswir ka hissa nahin the tere manzar mein aa jae na virani hamari bahut lambe safar ki gard chehron par padi thi kisi ne dasht mein surat na pahchani hamari kisi ne kab bhala jaana hamara karb-e-wahshat kisi ne kab bhala jaani pareshani hamari