yaqin mar gaya mera guman bhi nahin bacha kahin kisi khayal ka nishan bhi nahin bacha khamoshiyan tamam gharq ho gain khalaon mein wo zalzala tha sahibo bayan bhi nahin bacha nadi ke sar pe jaise intiqam sa sawar tha ki bandh fasl pul bahe makan bhi nahin bacha hujum se nikal ke bach gaya udhar wo aadmi idhar hujum ke main darmiyan bhi nahin bacha zamin darak gai sulagti bastiyon ki aag se ghubar wo utha ki aasman bhi nahin bacha bikharti-tutti fasil niw ko hila gai ki dagh zat par tha khandan bhi nahin bacha tamam mushkilon ko hum ne nind mein daba diya khula ye phir ki koi imtihan bhi nahin bacha