yaqinan aapko dhoka hua hai

yaqinan aap ko dhoka hua hai
wagarna kya kabhi aisa hua hai

ye kis ke husn ka charcha hua hai
ki sara shahr diwana hua hai

charagh-e-dard raushan ho udhar bhi
idhar hi zakhm kyon taza hua hai

hamein bhi khak hona hai wahan tak
jahan tak aasman phaila hua hai

main jis se khud kinara kar chuka tha
muqabil phir wahi dariya hua hai

kaji hai khud hamare dekhne mein
ki rukh us ka hi kuchh badla hua hai

abhi kya jaan ki bazi lagaen
abhi nuqsan hi kitna hua hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close