yar ki rahguzar ko bhi dekh phir gham-e-rozgar ko bhi dekh go chaman mein hain khun ke chhinte par zara lala-zar ko bhi dekh aadmi qabil-e-yaqin nahin ek dekha hazar ko bhi dekh falsafa falsafa hi to hai bas zindagi ke nigar ko bhi dekh donon ka lutf khatm kar loge gul ko bhi dekh khar ko bhi dekh zakhm ko main ne kar liya nasur dekh is shah-kar ko bhi dekh muft badnam hai meri wahshat 'mir'-ji ke shiar ko bhi dekh zard gul aur lal patte hain 'arsh' aisi bahaar ko bhi dekh