yar nikla hai aaftab ki tarah kaun si ab rahi hai khwab ki tarah chashm-e-mast-e-siyah ki yaad mudam shisha-e-dil mein hai sharab ki tarah kabhu khamosh hun kabhu goya sarnawisht hai meri kitab ki tarah past ho chal misal dariya ke khema barpa na kar habab ki tarah pa-bosi kun us ka hai gar shauq qad kun apne bana rikab ki tarah saf dil hai to aa kudurat chhod mil har ek rang bich aab ki tarah piw piwe hai sharab 'hatim' sath kyun na dushman jale kabab ki tarah