yaro hudud-e-gham se guzarne laga hun main mujh ko samet lo ki bikharne laga hun main chhu kar bulandiyon se utarne laga hun main shayad nigah-e-waqt se darne laga hun main par taulne lagi hain jo unchi udan ko un khwahishon ke pankh katarne laga hun main aata nahin yaqin ki un ke khayal mein phir aaftab ban ke ubharne laga hun main kya baat hai ki apni tabiat ke bar-khilaf de kar zaban 'faragh' mukarne laga hun main