yaro nahin itna mujhe qatil ne sataya

yaro nahin itna mujhe qatil ne sataya
jitna ki mare dushman-e-jaan dil ne sataya

kuchh sarzanish-e-kar ka shaki wo nahin hai
majnun ko to hai sahib-e-mahmil ne sataya

ghuncha kahun ya durj-e-guhar tere dahan ko
khulna nahin is uqda-e-mushkil ne sataya

aaram se soya na kamar ka teri kushta
marqad mein bhi muran-e-tah-e-gil ne sataya

us ka mujhe shab yaad dilaya rukh-e-pur-nur
shakl apni dikha kar mah-e-kaamil ne sataya

mera dil-e-sauda-zada karta na kabhi ghul
is kakul-e-pechan ke salasil ne sataya

afyun ki kisi roz main kha jaunga goli
be-wajah rukh-e-yar ke gar til ne sataya

jab bosa main mangun hun to kya kahte ho munh pher
aisa to kisi bhi nahin sail ne sataya

har ja mutajalli hai wo be-parda wa-lekin
ghaflat ke mujhe parda-e-hail ne sataya

tha ek to sayyaad giraftar qafas mein
aur dusre aawaz-e-anadil ne sataya

ai ham-safaran pesh-rawi ki nahin taqat
kya kije hamein duri-e-manzil ne sataya

pahlu mein 'nasir' aah nahin hai dil-e-muztar
is sher-e-gham-aluda-e-be-dil ne sataya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close