yas ki andhi diwaron mein ek daricha dhundh liya yani hum ne dil ke andar khwab ka kamra dhund liya tujh ko kho dene ka dukh bhi zabt kiya tha hum ne par tut gae jab tere badle hum ne duja dhundh liya hum ko hi hai shauq bahut ki pyas ki shiddat jaanenge warna hum to aise hain jab chaha dariya dhundh liya kaliyan bhanwre sagar moti barish titli indr-dhanush tum aae to hum ne dil ke andar kya kya dhundh liya ek majnun tha sahra sahra khwar hua aur ek hum hain ek tamasha khatm hua to ek tamasha dhundh liya duniya ki taksal mein aakar jaane hum ko kya sujhi sab kuchh chhod ke chahat ka ek khota sikka dhundh liya