yas makan-e-dil se nikal kar kone kone jalne wali darmanda si laut aai hai raat hai shayad dhalne wali tum ko hamari chah nahin hai jab se ye wishwas hua hai har tahrir jala dali hai soch hai rup badalne wali chand ki khuddari se main ab dars-e-khud-agahi leta hun warna ye mayusi ki zulmat sadiyon se thi badalne wali giton ko dafna do yahin par chikhon ke uslub janm do hangamon ki rit yahi hai aur yahi hai chalne wali kaise kaise sahib-e-nazran sar-ba-gareban ghum rahe hain aaj hai jaane kis ki sawari fan ke makan se nikalne wali