ye aag mohabbat ki bujhae na bujhe hai bujh jae jo ek bar jalae na jale hai tuta jo bharam rishton mein ehsas-o-wafa ka sau tarah nibhao to nibhae na nibhe hai khwabon ka mahal yun hi banaya na karo tum tamir jo ho jae girae na gire hai dahliz pe dil ki jo qadam rakkhe hai koi tik jae hai aise ke hilae na hile hai hai bagh-e-mohabbat mein wafa ka jo hasin gul murjha jo gaya phir to khilae na khile hai dil chiz hai aisi ki ujad jae jo ek bar phir lakh basao to basae na base hai kyun naqsh liye chashm-e-tasawwur mein phiro ho ho jae ye gahra to mitae na mite hai koshish to bahut ki hai ki dhul jae har ek aks ek shakl hai aisi ki bahae na bahe hai dekh aai hain shayad kahin mahbub ko apne aankhon ki chamak aaj chhupae na chhupe hai baaton man jo kar jae hai iqrar-e-mohabbat phir baat koi us se banae na bane hai har-gam qadam apna sambhaale rakho 'asra' daman pe laga dagh chhudae na chhute hai