ye ab jo meri zaban par tumhaara nam nahin ise muafi samajh lena intiqam nahin mujhe pata hai jo tujh ko khuda samajhte hain wahi hain jin ki khuda se dua salam nahin mere alawa koi meri baat sunta nahin aur aaj-kal to main khud se bhi ham-kalam nahin isi liye to suhulat se jal rahe hain charagh unhen pata hai hawa ka koi nizam nahin to phir wo mere liye ahmiyat nahin rakhta kisi ke dil mein agar tera ehtiram nahin