ye ajab rasta hai jis pe lagaya hai mujhe mahw-e-hairat hun ki kya chiz banaya hai mujhe teri duri bhi hai mushkil teri qurbat bhi muhaal kis qadar tu ne meri jaan sataya hai mujhe tu kisi phul kisi aankh ke parde mein raha tu ne kab apna hasin chehra dikhaya hai mujhe mere firdaus ki nahren meri khatir hain to kyun pyas ke dasht mein hairan phiraya hai mujhe sari makhluq se taqwim mein ahsan hun main aur phir aag ka indhan bhi banaya hai mujhe apni takhrib pe nadim hun na tamir pe khush tu ne dhaya hai mujhe tu ne banaya hai mujhe