ye aks aap hi bante hain hum se milte hain ki nakhunon ke baghair apne zakhm chhilte hain khabar mili hai ki tu khwab dekhti hai abhi khabar mili hai teri samt phul khilte hain hamein ye waqt ki bakhiya-gari pasand nahin agarche waqt ke hathon se zakhm silte hain hamari umr se badh kar ye bojh dala gaya so hum badon se buzurgon ki tarah milte hain kisi ko khwab mein akasr pukara jata hai 'ata' isi liye sote mein hont hilte hain