ye aur baat hai tujh se gila nahin karte jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte hazar jal liye ghumti phire duniya tere asir kisi ke hua nahin karte ye aainon ki tarah dekh-bhaal chahte hain ki dil bhi tuten to phir se juda nahin karte wafa ki aanch sukhan ka tapak do in ko dilon ke chaak rafu se sila nahin karte jahan ho pyar ghalat-fahmiyan bhi hoti hain so baat baat pe yun dil bura nahin karte hamein hamari anaen tabah kar dengi mukalme ka agar silsila nahin karte jo hum pe guzri hai jaanan wo tum pe bhi guzre jo dil bhi chahe to aisi dua nahin karte har ek dua ke muqaddar mein kab huzuri hai tamam ghunche to 'amjad' khila nahin karte